Dosti bhi pyaar may badal gayi jaldi se
Mere dost ne pyaar ka ghada bhar diya tezi se
Nahi malum usse jo toot jayega bahut jaldi se
Mere dost ne ladki ko dil ki sab baat batayi
Lakin ladki uske pyaar ko samajh nahi payi
Kagaj ki kasti ki tarah tha uska pyaar
Jo pani may doob gaya uski yaado k saath
Ladki ne uske saath pyaar ka khel khela
Aaj woh uski yaado may betha hai akela
Ladki ne bola mujhe hai kisi or se pyaar
Tu to sirf tha mera do din ka yaar
Mere dost k aankho may aa gaya pani
Wo bola kya yahi hai tumhari prem kahani
Tumse pyaar karne ki galti ho gayi bhari
Phir bhi tum lagti ho mujhe sabse pyaari
Mohbbat ki kasti may woh sawar tha
Pyaar k saath khelna uss ladki ka kaam tha
Jise woh dhoondhta tha haatho ki lakiro mein
Aaj woh dikhti hai kisi or ki baaho mein
Jaan kar bhi woh ladki usse jaan nahi paaye
Aaj bhi woh mere dost ko pehchan nahi paaye
Hoti hai khushi jab aati hai uski yaad
Dard bhi utna hai uske chale jane k baad
Bhulna chahta hai mera dost usse sukhe aansuo k saath
Na jane aaj bhi q akela jee raha hai uski yaado k saath